Sunhare patto pey
Likhi kuch kahaniya,
Kuch khatti kuch meethi,
Kabhi hansati kabhi rulati...........
Purane chawal dekhe kabhi
Na janne, kyun ache lagtey
Inkee mahak mein
Kuch yaddein shayad sheash.............
Chupchaap khali bethna
Kai ganthe na jaane kyun
Khamosh, apne ko he dhundna
Na jane kahan chale gaye woh pal....................
Bandh sandook mein
Ek purana gulabi dupatta
Na jaaney kya kya yaad dila gaya
Phir seene se laga usse sambhaal liya.................
Kareene se rakhi kitabey
Dhool chadhi ek kitaab kholna
Sukhee phoolo ka hatho mein ana
Kuch chup yaadeino ka hawa mein ghul jana.............
Its Me Keerti Vaidya
6 comments:
SACH mey ji apney bahoot SUNDER LIKHA HE............GOD ONE.
AUR YE KUCH LINE APKEY LIYE......
U TO WO MOHBAAT KAR LETE HE
YADOO KE SAHAREY JI LATE HE.
KUCH KHATTI AUR YA METHI HO
WO GAMMO KA JEHER PE LATE HE.
LAKH SHIKWEY HO KHUDA SEY
PHIR WO HAS KE JI LETE HE.........
Kabhi hansati
kabhi rulati...........
yes you are right say ....app kee 105 poems hai marey pass ...
app kaa andaj ...liknay ka ..dil karta hai kee may (i am)
bhi likna chalu kar du ...
Kabhi hansati kabhi rulati...........
Na jaaney kya kya yaad dila gaya
bahut achha likha hai
padh kar laga ki
apna hi ateet ho jaise
bahut pyari aur sunder rachna hai
frm
shalini
Bahu khoobsoorat hai ye sara..
NAHIN AATI TO UNKI YAAD BARSON TAK NAHIN AATI,
MAGAR JAB YAAD AATE HAIN TO AKSAR YAAD AATE HAIN..
apki kuch kavitaye bahut kuch keh jati hain
hi dear i m ur G ma 60.Really ur poetry so high lable*******I read it & enjoyed & Hope so ki U write more & more
I m waiting.God bless u my child
my blessings r always with u
Post a Comment