Acha lagta hai tera saath
Chup chaap gumsum ek payra ehsaas
Sari sari raat neele asmaa tale
Ek tak taro ko dekhna
Bina ek bol bole
Seeney pay sar rakhey
Tera saath acha lagta hai..............
Sard raatey, suni sadak pey
Khamoshi odhe chaltey rehnaa
Ek duje ka haath thamey
Apni he duniya mein khoye
Tera saath acha lagta hai..............
Garm raatey, sagar ke kinarey
Muskurate, ek duje mein khoye
Leharo se apne ko bheegatey
Teri baaho mein ankhee bandh karna
Tera saath acha lagta hai..............
Narm thandi barf ke gole bana
Tum par fankna aur tumhari woh narajagi
Meri bha pakad kehna abhi bata ta hun
Mere Galo par thandhi barf lagana
Tera saath acha lagta hai..............
Bheegi Bheegi Rimzim mein
Ek he chathey ko udhna
Kabhi mera to kabhi tumhara bheegna
Aur na jane kya kya keh jana
Tera saath acha lagta hai..............
Its me keerti
3 comments:
bahaut hi accha saath hai:)
aapke liye unka
aur humaare liye
aapke khoobsurat shabdo ka :)
aise hi likhte rahiye
amit
'Bheegi Bheegi Rimzim mein
Ek he chathey ko udhna'
Too Romantic visualisation, Keerti.
bahut aChi kavita hi
badhaai
pahli baar padhaa, rachna parbhavit karti hai .
Post a Comment