13 July 2007

“Tere Hone Ka Ehsass”


Aaj subha kuch khas lag rahi hai

Aankh khulte he samne dekha

Door pahado ka raang bhi kuch saaf hai,

Bahar uthh rahe kohre ke chaal mein bhi raaz hai,

Chahkte panchiyo ka raag bhi sureela hai,

Chidd ke drakhto se aati kirno ka tikhapan bhi kuch meetha hai

Taze gulabo ki pankhdiyo ke komalta bhi kuch nazuk hai

Ainne mein dekha apne chahrea ke muskaan bhi kuch alaag hai

Janta ho kyu………..Shayed tere saath hone ka yeh sara ehsaas hai !

Its Mine-Keerti

No comments: