Darwaje pe jindagi ke, sawalon ke kafile ki dastak sunai di,
kafile se udti dhool ki aandhi phir meri berang aankhon main dekhai di...
wohi sawal jinka na koi wajood or na jawab hi mil paya kabhii..
kiyun insan kud ko rishton ki dor main bandhtata chala jaata hai..
rota hai , bolkhta hai. chatpata hai inhi rishton ke saath,
phir bhi is ki daldal main dhasnta chala jaata hai..
shyad yeh aandhi nayi thi aankhon ke liye,
varna yeh chatpthat na hui hoti , sukhi padi barson se yeh aankhen aaj nam na hui hoti...
rishton ke yeh sawal bhi naye the shyad naye hi honge..
nahi to aaj dil ki dhadkano ko is kadar ghabraht na hui hoti..
Darta hai dil kahi kho na de apna hi wajood in sawalon ki andhi main,,
isliye har tinke ko aaj aapni aankhon ke lahoo main sambhale bethi hun...
Its me Keerti
अपने आस-पास जो महसूस करती हूँ.....शब्दो में उन्हे बाँध देती हूँ....मुझे लिखने की सारी प्रेणना, मेरे मित्र नितिन से मिलती है.... शुक्रिया नितिन, तुम मेरे साथ हो....
13 July 2007
"RISHTE"
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment