13 July 2007

“EK MEETHI SE BAAT”


Aaj mausam acha hai

Chalo kahani ghum aye,

Keerti ne kha nahi aaj dafter me kaam bhut hai,

Phir kabhi furast mein le chalna…..

Jahan khule burfile pahad ho,

Shaant nirmal ek jheel ho,

Khoobsurat surkh rang ke phool ho

Tazi thandi mand hawa ho,

Tumne kha chaha tu meine bhi hai,

Phir kabhi fursat mein le chalunga………

Jahan sirf mein aur tum ho,

Mera haath tere haath mein ho,

Tera sar mare kandho par ho,

Bus hum ho aur apna payar ho.

Aur lo ek phone aa gaya

Aur hum laut aye apne dafter

Kho gaye phir apne kaam mein…

(Metro cities mein aajkaal romace sirf phones aur net tak he reha gaya hai…fursat nahi hai)

Its me Keerti

No comments: