Apne maa –baap ka ladla,
Nanha saat saal ka bhola
Roj school jata hai
Kabhi khilone ki zid bhi karta hai,
Hanste khalte ghar ka ek khilta chanda….
Ek din khaber aye..
Bapu mara gaya ek durghatna mein,
Sara ghar bhikhar sa gaya,
Sab kuch jaise khatam ho gaya
Hansta khalta ghar ujaad gaya…..
Bhola ab bhi jata hai, school nahi
Apni maa ke saath, bankar “child labour”
Bhola ab bhi zid karta hai, khilone ki nahi
Apne pat ki bhook ko mitane ki…..
Its me Keerti
No comments:
Post a Comment