13 July 2007

“Duniya Mein Kun Hai Apna”


Kai baar socha kai baar apne se pucha

Isse duniya mein kun hai apna

Aankh khulte he rishte mile

Ta-umar rishto ko nibhaya

Jab Rishtedaro ki jarrut padi

Tu rishte he badal gaye

Padhne gaye tu dost banaye

dosti ki badi badi kasme khai

jab dosto ki jarrut padi

Tu dost he dushman bane

Jawan hue tu payar hua

Saath jeene marne ki kasme kahi

Jab baat saath nibhane ki ayee

Tu dildaar he degabaaz niklaa…

Keerti koi nahi hai kisi ka..

Kisi ko daulat tu kisi ko tere jism ka intzaar hai

Isse duniya mein koi nahi apna ….

Its me Keerti

No comments: