Halki se muskurahat chehare par
Shaant bhav ho jaise khamosh raat
Nirmal maan ho jaise khilti subah
Jheel se gahari aankhe hai uski
Dil dekh le to din baan jaye
Baat ho jaye to zindagi baan jaye
Kuch asa he khayal aya hai
Jab se usko dekha hai
Pass aa kar chu lo bas
Apna usse banna lo ab bas
Kuch asa he socha , jab woh,
Kareeb se gujari thi
Par yeh tu tum nahi jante
Kyun woh muskurati hai
Kis gum ko woh chupati hai
Itna gumsum woh kyu rahti hai
Apni ine aankho main
Kin sapno ko chupaye hai
Chupchap he tumhe nazar andaz kiye
Woh pass se gujar jaati hai….
Jindagi itni assan nahi
Jitna dikhti aur samajh mai aati hai
Koi to raaz hai uske dil mein, Keerti
Jo woh samjh kar bhi anjaan ban jati hai………..
It’s me Keerti
No comments:
Post a Comment