Ye kale kale megha
Kabhi tu chalak jaya karo
Manna ki neer bhare ho tum
Kabhi to damini kadkaya karo
Neele neele amber pey
Apni chatha bikhera karo
Manna ki shayam raang ho tum
Kabhi to inderdhunsh sang laya karo
Teekhi teekhi surya kirno pey
Apna raang chadhaya karo
Mana ki pani ke gubbarre ho tum
Kabhi tu humse holi khel jaya karo
Sukhi sukhi banjar bhumi pey
Nav ankur fhutaya karo
Manna ki aasma ke shehjade ho tum
Kabhi to darthi maa ke galle lag jaya karo.
Pyasse pyasse nanhey panchi
Unke kandh geele karo
Mana ki jaal kund ho tum
Kabhi to ek-do bunde barsaya karo
Badle badle piye ke andaaz
Usse to mare liye manaya karo
Manna ki mehgdut ho tum
Kabhi to mera sandesa, bheega unhe punchaya karo……..
Its me Keerti
5 comments:
good poem keep it up
very good
di bhut achhi poem hai .
Megh se preet ki manuhar.Ati sundar...
-Dr.R Giri
Aasadh ke mahine me jab barish ka kahin nishan nahin
tab aise mein aapki kavita ek sukhad anubhuti de gayee
thanx
Post a Comment