27 July 2007

KITAAB

Suno mat kholnaa ise
Be-rang bandh kitaab ye
Dard bhara pitara ye
Sunharee panne jarrur
Par kale akhro se bhare
Jaise kaali be-raham raat
Ghup andhera yahaan
Cheekho, ansuoo ka jaam
Koshish na karo kabhi
Apne labo ko bheegane ke
Madhoshi gar cha gayi
Mujhe na kabhi pukarna
Mein to pehale he daffan
Iski jar-jar deewaro pey
Kuch surkh sukhe phool
Dharre iske beech mein
Sirf bachee inme yahan
Mere payar ke sisakti
Kuch dard bhari yadein........

Its me Keerti

3 comments:

SANYAS BHI HO SANSAR BHI HO said...

LABO KO SIKAR KHAMOSH REHNA,
KHAMOSH REHNA BHI KOI JINDGI HE............

TUM JO BHI LIKHTEY USMEY EK DARD HOTA HE,
LAKIN ES SANGDIL DUNIYA MEY, ES DARD KO KOI NAHI SAMAJHTA HE,

AUR NA SAMAJHNEY WALO MEY SABSEY PEHLEY BHAGWAN HI HOTA HE.........JISKO HUM SAB LOG GOD BHI BOLTEY HE........

Unknown said...

bahut achha di
as always
aapke shabd dil ko chhoo jate hain hamesha