18 July 2007

NA TU MERA NA MEIN TERI



Na tu sajana na mein sajani teri

Phir kyun ye dil tujhe he pukarye

Sari raat to sapno mein aye

Pura din teri he bateye mujhe sataye

Na tu kanha na mein radha teri

Phir kyun ye dil tujhe he pujyee

Ek ek saans tera he naam rattye

Meri nazarye sirf tumhe he dhundey

Na tu chaand na mein chandni teri

Phir kyun ye dil tujhe he chahaye

Har lamha bas teri he yaad sataye

Har waqt dil rab se tumhe he mangey

Na tu mahiwaal na meri sohini teri

Phir kyun ye jaan tere liye phigley

Sari duniya ke rasme ruke rulaye

Par mujhe sirf tera he saath bhaye

Na tu kalam kalam na mein kaagaz teri

Phir kyun ye dil tujhe he payar karey

Meri khaniyo ka hissa baney

Sahi ban mere kagazo pey chahye.

Na tu phool na mein mahak teri

Phir kyun ye dil tujhe he bulaye

Koyal ban tere liye kuku

Bheege palko sey tujhe he pukaro

Na tu raag na mein raagani teri

Phir kyun ye dil tujhe he alaapey

Sabkuch feeka tere bina

Beraang lagey ye jeewan mera…….

Its me Keerti


2 comments:

mayank kumar said...

aapne kafi umda likha hai...........aap ise jari rakhe....bas ek hi shabd niklta hai..gazbbbbb

डाॅ रामजी गिरि said...

Keerti,
kya nischhal prem-nivedanhai!!!!!

Na tu kanha na mein radha teri

Phir kyun ye dil tujhe he pujyee
---ULTIMATE N AWESOME EXPRESSION.