Ek sitare se dussre sitare par per rakhti hu
Apne chand ke kareeb jane ki
Ek choti se koshish karti hu
Kabhi girti tu kabhi sambhalti hu
Kabhi jalti tu kabhi pighalti hu
Kabhi dagmagate hue ek sitare par
Kabhi sambahlte hue duje sitare par
Sirf tujhe dhundne ki koshish karti hu
Kabhi koi awara badal ched jata hai
Kabhi koi hawa ka jhonkha chu jata hai
Kabhi koi rokta tu koi milna chahata hai
Kabhi koi mujhe apna banana chahata hai
Sirf tujhe milne ki koshish karti hu
Kabhi mein na rukti hu na sunti hu
Janti hu mera saffer tujhe par thamta hai
Kabhi apna aanchal sambhalti hu
Kabhi apne wajood ko dubne se bachati hu
Sirf teri hone ki koshish karti hu
Ab tu thak gayi hai Keerti apni har koshish mein
Ab tu mare chand nikal ayoo….
Its me Keerti
No comments:
Post a Comment