“Aaj Bhi”
Aaj bhi mandir jati hun
Ussi kone mein beth kar
Apni puja puri karti hun
Wapsi ussi mode par rukti hun
Ussi patther pe beth kar
Apni aankhe band karti hun
Muskurati phir ghar laut jati hun
Farak bus ab itna hai………..
Phale har puja mein tujhe manga
Ab apni maut mangti hun
Phale usse mode par tu milta
Ab teri yaado se takrati hun
Phale hum pathar pe bethte the
Ab rukti hun ki shayad tu aa jaye
Phale teri battoo pe hansti
Ab apni kismat pe muskurati hun
Haan…Aaj bhi ase mandir jaati hun….
Its me keerti
2 comments:
Very nice poem..actully very nice poem..aur kahu to vry nice bhi chota word hai ...Yaar gr8!!
Its 4 me na ??Tu tension na ley main wapis aaunga .fir se sab kuch waisa he hoga ..hehehe
Post a Comment