28 September 2007

Tu ley chal mere maan


Chaltey Chaltey yahan aa, Van shrinkhla samapat hoti
Ghehrey neele amber aur Hari bhari bhumi ko
Apney mein samatey dikhata , Dur pahado mein kshitij
Kal Kal behati jati, Lehrati balkhati barfili neer Nadi
Ek shan tham jata, Sun madhur bansi dhun
chau aur kheeley satrangi jangli phool, kachey pakey meethey fall
Hai asi koi jagah , Tu ley chal mere maan............

Its me Keerti

27 September 2007

KARREB KANHAA

Kitney bhi dil ke darwaze bandh kar lo
Sou baar chahyee yeh ankhey bandh kar lo
Faad dalo unne puraney afsanno ko
Dhuye mein uda do chahyee beeti yaado ko
Phir bhi din ka ek nanha lamha, roz
Chupkey se samney aa, laye teri yaad, roz
Aankho ko chalkha , bhar thandi ahaa
Yaad dila jaye tu ab mere kareeb kanhaa.

Its me Keerti

14 September 2007

LAASH

KATHGHARE MEIN KHADI EK LAASH
SANKDO SAWALO KE BOCHAAR
KYUN, ANEY HE SINDOOR KA
KIYA BEDARDI SE KHOON.................

LASH JORO SE HANSI,
CHARO AUR SNATA CHAYA
EK SAANS MEIN JO VO BOLI
SUNIYE AAP BHI USKEY ALFAAZ.......................

ATHRHA BARAS KE THE JAB
BIN PUCHEY THAMAYI GAYI
EK AJNABI KE HAATH DOR
SHAYAD YE EK RASAM RIWAAZ

PUREY BARAH SAAL USKEY AANGAN
KATHPUTLI BAN NACHTI RAHI
BADLEY MILTA TRISKAAR
AUR DIN KE DO SUKHI ROTI

MANA KE MIEN GHAR KE BAHU
JISKA NA APNA KOYI ASTITAV
PAR EK APNA VAJOOD TO HAI
MANJOOR NAHI THA JINDA JALNA

HAAN, UTHAYA MAINE EK BEDARD KADAM
APNEY ATYACHARO KA LIYA BADLA
JO MUJHEY ZALANA CHAHTA THA, USEY MEINE HE
UTHA DIYA ISE DUNIYA SEY

HAAN MANTI HUN AB YE BAAT
SADI BARSO PURANI MEIN EK LAASH
EK BAAR FIR MUJHEY MAAR DO
AB PARVAH NAHI CHAYEE TU JINDA ZALA DO...........

KEERTI VAIDYA

11 September 2007

Mohabat kya hai

Mohabat kya hai:-----------

Jab dard deye, Kadvi
Jab Kushi laye, Meethi

Jab hissey aye payar, Achi
Jab haath aye bichoda, Buri

Jab kareeb laye unhey, Mehkey
Jab Duriya na mittey, Cheekhey

its me keerti

ताजे महके रजनीगंधा

ताजे महके रजनीगंधा को थामे
भागती जाना, पहाड़ी के दूसरी ओर
उससे ना पा नीढाल बेठना
सूरज को ढलते अकेले नीहारना
भीगे गालों को आप ही पोंछना
इक आस लीए फीर लौट चलना
शायद, वो काल जरूर आयेगा...................कीरती वैदया

---------------------------------------------

TAZEY MEHAKEY RAJNIGANDHA KO THAMEY
BHAGTI JANA, PAHADI KE DUSREE AUR
USSEY NA PAA NEEDHAAL BETHNAA
SURAJ KO DHALTEY AKELEY NEEHARNAA
BHEEGEY GALO KO AAP HEE PONCHNAA
EK AAS LEEYE FEER LAOUT CHALNA
SHAAYAD, VO KAL JARUR AYEGA...............keerti vaidya

10 September 2007

chutput -9

MERA DARD BADTA HAI
NA PUCHO ISEY MUJHESEY
VO ROZ SISKTA HAI
NA PUCHO KABHI MUJHESEY......

KEERTI

"Anjaan Hai"

Haan, Mujhey ek sirfirey se payar hai
Na janey, kyun uss pey itna atebaar hai
Usko paney ke chahat beshumaar hai
Har ghadi sirf uska untzaar hai
Yeh dil, sirf uskey ley bekrarr hai
Vo, samjah kar bhi na janey kyun anjaan hai..........................

Its me keerti

8 September 2007

CHUTPUT-8

Kitna dard bhara hai tere payar mein
Acha hota hum kabi paas na atey
Na janey ka gum patey tumsey
Na kho janey ka darr patey tumsey
Muskurana bhi muskil hua ab
Jee kar bhi nahi jee patey ab
Payar kya hai tumne batlaya
Kasey Bhulana hai tumhey
Ab yeh tum he sheekhla do............Its me keerti

7 September 2007

CHUTPUT-7

Teri chahat mein
hosh to kho diya
Ab na miley
Gar tum mujhe
ye zindagi bhi
Kho na jao
Bas ek baar
Mude key dekho
Mein ab bhi
Khadhi ro rahi..............Its me Keerti

6 September 2007

Tera saya bhi nazar nahi ata

Haan, Maine tujhe paya
aur na jane kab kohya
Kabhi kabhi khiltey phoole
Tere payar ke rang laye
Chutee hun jab inhey
Ankhoo mein ounce bhar laye
Kyun bhar diya aanchal yaadio sey
Roz chubtey iskey kantey dil pey
Sukhey patto ke kurmuhrahat
Dil pey kare ek sursurahat
Tere sang na honey ke baat
Chupchap yaad dilati hai
Bhari bheed, Koi pukarey mera naam
Ek pal ruk, teri yaad dila jata hai
Peechay mude dekho,
Tera saya bhi nazar nahi ata hai........................

Its me keerti

KATHORE SHEELA

Meine tumhey jab payar kiya
Tab tumney mujhe nahi samjha

Aaj tum bethe mere pass
Apney payar ke duhai liye saath

Mein soch rahi kya paya tha
Jo ab mein kho rahi, kar na

Kiss baat ka ab pachtava
Jab hum beech kuch na raha

Mein koi nahi mom ke gudiya
Jo tere ansuo peeghlaye, jalaye

Mein to ek kathore sheela
Kyun sar yahan fode rahey.............

Its me keerti

5 September 2007

NA PATA

GUPCHUP APNEY MEIN KHOI CHUP RAAT
TIMTIMATEY TARO SE PUCHTI BAAT
AANKHO MEIN LIYE EK SWAAL
DIL MEIN CHUPAYE APNA HAAL
KOI TO BATAYE KYA AB KARE
KOI TO SAMJHAYE KYA BAH HOYE
NA JANE KITNEY DANE AB BHI IMTIHAAN
NA JANE KAB THAMEY AB YEH TUFAAN
NA YE RAAT KHATAM HOYE
NA BHORE KA PATA MOHE...................

ITS ME KEERTI

THODA JEE LAY

Na hai apne haath mein
Kuch bhi yaro
Jarruri to nahi ke
Sab socha he ho
Apni ye ek zindagi
To kyun na thora jee lay
Kuch kushi ke pal
Apne gumo ko kahani daba
Hansi ke chadder odhe
Chand khoobsurat sapno ko
Apni jholi mein samatey
Narm hawa ke zhonko mein
Apne ehassaso ko bheegaye
Titlleyo ke raang chura
Apne daaman mein bhare
Madhoshi bhare sangeet mein
Apne kadmo ko thirkaye
Chalo aaj sab chore
Kuch fursat ko jiyee
Apni bhaye faila
Nav umang mein lehraye..................Its me Keerti

वीदायी

हाँ, भीग गया आंगन
तेरे जाने की वीदायी में

टूट गीरे मोगरे के फूल
मेरे बीखरे केशों से

चटक गए रंगीन कांच
गोरी बाहों से

फैला रंग सींदुरी अस्मा पे
माथे की बींदीया से..................

कीरती वैधया