25 October 2007

Ashko mein......

Ashko mein doobi raat
Roz tujhey karey yaad

Tuttey sittaro sey karey swaal
Kab ayega puchey apni baat


Kabhi ise karwat to kabhi use karwat
Tera aks dhundhti badnaseeb ankheey........Its me keerti

15 October 2007

TUJHEY DHUNDTI HAI

Roz meri ye ankhey, teri ankhoo mein
Vo pehalye jaisa meetha payar dundhti hai

Khamosh sey mohabaat ke vo zasbaat
AAj bhi tere dil mein dhundhti hai

Tere Hatho ka narm apna sa sparsh
Teri bahoo mein aa aaj bhi dhundti hai

Tere sang gujrey barsaat key vo lamhey
Aaj bhi barsat mein bheeg, tujhey dhundti hai.............

Its me Keerti Vaidya

12 October 2007

MERE SAPNO KA BHARAT

SAB SOYE PET BHAR NEEND
APNEI SABKI CHAT PAYARI HO
MILEY SABKO SIKSHA EK SAMAN
NAR-MARI KA NA BHED HO
KAAM KAREY SAB MIL EK
NA HO KOI RAJA NA KOI RANK
ROZ BANEY ID-DIWALI
NA HO KURSI KI KHEENCH TAAN
ASA HE HO "MERE SAPNO KA BHARAT"

11 October 2007

KYUN DIL KEH REHA ......

KYUN DIL KEH REHA HAI KI TUMSEY HE BAAT KARU
SIRF AAJ TERE HE NAAM KA JAAP KARU
DAAMAN BHAR GAYA HAI TERE PAYAR SEY
ANKHEY NAAM HAI TERE ISE EHSAAS SEY
CHUPA LO BAS AB APNEY SEENEY MEIN
JEE LANEY DO BAS AB APNI BAHOO MEIN
BHUL JANEY DO SAREY GUM ISE JAHAN KEY
DOOB JANEY DO MUJHEY APNEY NASHEY MEIN........ITS ME KEERTI

10 October 2007

Kyun

Kyun yun roz takrra jatey ho
Kabhi raha chaley pukartey ho
Kabhi mandir ke pass kadhey hotey ho
Khamoshi ko udhey bhi kuch bol jatey ho
Kyun yun tukar-tukar nihartey ho
Kya raaz chupa rakhey ho..................its me keerti

9 October 2007

na janey kab sab kho gaya

Na janey kab ankho ke sab moti sukh gaye
Ghaney kaley megha ban asma mein cha gaye

Chehketi koyal se boli kab muk ho gayi
Andheri se kaal kothri se chupi cha gaye

Udti rangeen titliyo se chuhalbul sab band ho gayi
Tanhayio ke alam me ek koney ja beth gaye

Inderdhunshi rango ka banaya payara gharonda tut gaya
Zindagi ke bereham bhav mein na janey kab sab kho gaya...


Its me Keerti

8 October 2007

Bheegi the mein uskey payar mein

Bheegi the mein uskey payar mein
Jo aap bheega tha kisi aur ke yaad mein
Kitna hansta tha vo mujhey
Jo aap rota tha kisi ar ke payar mein
Zindagi ka arth samjhata tha
Jo aap sab kho chuka tha ise jahan mein
Haath pakad jisney jeena seekhya
Jo aap jeena bhula tha kisi aur ke saath na honey mein

Its me keerti

EK ANJAAN AJNABI

HAAN, EK ANJAAN AJNABI KO JANATI HUN
BIN DEKHEY HE USSEY PECHANTI HUN
BARISH KE NAM MEETHI BOONDO SA VO
BHORE KE PEHALI CHALKI KIRNO SA VO
GUNGUNATA HAI GEET BAN MERE HONTHO PEY
DHADKHTA HAI DIL BAN MERE SANSO PEY
KABHI CHU JATA HAI BAN PAWAN MERE MAAN KO
KABHI HANSA JATA HAI BAN SHABNAM MERE DIL KO
KABHI NACHTI HUN USKEY PAYAR MEIN BAN RADHA
KABHI GAATI HUN USKEY EHSAAS MEIN BAN MEERA

ITS ME KEERTI